
’Sahil’, mahz do roza yeh zindagi ab baaqi hai
Sach puchho to shayad yeh bhi bahot kaafi hai
Aakhir kab talak chalti rahegi rail gaari apni
Patri bhi to jis ki ab khaasi puraani hai
Manzar dikhaati hai tu jaavidani ke kyon
Zindagi, tu to waaqayi zabardast deewaani hai
Maana, ke deti hai tu alamat aarizi honey ke
Lekin, maaloom hai hamen tu kitni aani jaani hai
Faramosh na hona is baat se tum kabhi, logo
Dil to usi ka jalta hai jis ne aag lagaayi hai
Dosto, saraab to hum dekha karte hain sahra men
Sirf haqeeqat ke saharey jeena bhi pareshaani hai
Khwaab na dekhe to beh jaayega sumundur men
‘Sahil’, koi nadi, koi behr, sabki yehi kahani hai
Aitbaar kis per karen bata vaaiz, khaamosh kyon
Zindagi to faani hai, magar badi suhaani hai
No posts
No posts
No posts
No posts
Comments