
0 Bookmarks 85 Reads0 Likes
suno tum jis makan me rahte ho,
use ghar bnana chahti hu,
tumhare dekhe hr khwab ko sach bnana chahti hu,
tum bnalo na mujhe apni ardhangini,
main tumhe apni sanso me basana chahti hu,
pta hai mujhe tumhe nahi hai meri jarurat,
sachham ho tum khud ke lie,
main tumhara sahara nahi tumhara sath bnna chahti hu,
tumhare sath milkr adhi jimmmedariya uthana chahti hu,
ha main tumhare makan ko ghar bnana chahti hu,
jab sham ko tum thak kr ghar aao to tunhare sath shukun ke pal bitana chahti hu,
tum,tum ho
main,main hu,
in dono ko hum bnana chahti hu,
ha main tumhare makan ko ghar bnana chahti hu.
No posts
No posts
No posts
No posts
Comments