Band hua ek aur dwar mera's image
Share0 Bookmarks 77 Reads0 Likes

Band hua aaj phir ek aur dwar mera,

Kanto ka sailab bicha kr badh gayaa ab ek aur bhaar mera,


Tuti-futi kashti thi meri, tut kr aur bikhar gayi hai ye,

Kandho ke bojh halke hue nahi the, ki badh gaya ek aur bhaar mera,


Kya suna aur kya sunana tha kuch kami to rah gayi hai mujheme,

Badhte jaane ko har baar tarraki nahi kehate hai,

Mukkamal jajbaat mein har baar pyar nahi milta hai,

Mere paas bhi kuch tarane aise hai jo badhaa gaya ek aur bhaar mera,


Kehate-kehate ruk jana to aadat nahi thi meri,

Behake-behake irade bhi to na the mere pahale kabhi,

Aasmano ki rangat mein sunhare ehsas dhudha karate the,

Sabhi gire jo ek baar mein aise ki bhaar badh gaya ab mera,


Kosis karate hai har baar har jagah mil ke khud se,

Panno pr pade salwato ko saaf karate hai khud se,

Band hui har madad ab har kisi se,

Ki band hua aaj phir ek aur dwar mera.

No posts

Comments

No posts

No posts

No posts

No posts