
Nafrat na haqaarat na tanz zani ho guftagu men
Jaisi hoti hai ibadat saaf dil ki vuzu men
Ai ghamkhwaro, ranj o alam ki gehrayi jaan lo
Ek sumundur daroon hai har qatra e aansu men
Kabhi ghunche se puchhiye kya maaloom hai usey
Mehakti hai yaad uski har gul ki khushbu men
Ai tamannaon ke aashiqo, zara dil ka bhi socho
Uski aag hogi kaisi, jab sulagta hai shola aarzu men
Shaikh, daaman per lagey daagh se ghabrata hai tu, phir
Pursish yeh kaisi, kya rakha hai jaama e aabru men
Tere aashiyaan ko chhu kar jo guzarta hai darya
Talatum nahin, rahm dilli hai us mehr e ju men
Ai hukmiranon, maghrur kis liye jaavidaan tum ho nahin
Firasatmand keh laogey gar ana ho tumhari qaabu men
Chahchaana hai behtar chillaney se, naaseh
Sada e bulbul na sahi, zabaan shirin ho gulu men
Sukoon o taskeen ke mushtaaq to hain sab, magar
Waisi tapish bhi to chaahiye us justaju men
’Sahil’, tu kehta hai jaadu hai zabaan e Urdu men
Phir yeh bhi bata de, kya mojaza hai lafz e hu men
Ghamkhwaro comforters. Sympathizers
Haqaarat. Disdain
Tanz zani. Cynicism
Vuzu. Ablution
Daroon. Inside. Within
Ghunche. Bud
Pursish. Puchhna
Jaama e aabru. Izzat ka pairahan
Talatum. Storm
Mehr e ju. Mercy of the River
Javidaan immortal
Firasatmand. Wise
Sad. Aawaaz
Shirin. Meethi
Gulu. Gala
Mushtaaq. Desirous of
Tapish heat. Desire
Lafz e hu. God Himself
No posts
No posts
No posts
No posts
Comments