Andhiyon si is zindagi men vaaiz's image
0 Bookmarks 105 Reads0 Likes

Andhiyon si is zindagi men vaaiz, bata saba kaun hai
Main to gunahgaar hun maana, magar ba safa kaun hai

Kamtar nahin hai koi kisi se, nazron ki khuda men, phir
Kyon dhundta hun main har su yaro, mujh se adna kaun hai

Hawas yeh daulat ki kaisi, har aan ki talaash yeh kaisi
Kabhi yeh bhi to soch ai nadaan bande, yeh izafa kaun hai

Pursish sab se jaari hai jahan ki khabar tujhe saari hai
Yeh bhi bata shaikh hamen har subh mukhatib aayena kaun hai

Justaju jo chaahe kar, dil ki sun ya phir auron ki, lekin
Yeh mat bhulna khuda ke bande, sab se aala kaun hai

Jannat aur jahannum kyon, kya yeh bhi socha hai kabhi
Khuda ne to tafreeq na ki, na kaha achha bura kaun hai

Hum shukr khuda ka karte hain ke achhe guzre shab o roz
Jab intekhaab ek nafas ka hai, zinda kaun aur murda kaun hai


Haq hai sabka maana yeh to sochen hum jo chahen jab
Per, zara yeh bhi to socho kabhi, khuda se juda kaun hai

Hai dunya saari gunahgaar kya qudrat ka yehi nizaam hai
‘Sahil’, maafi ki gar baat na hoti kya puchhta tu khuda kaun hai


Vaaiz. Preacher
Saba. Gentle breeze
Ba safa. Innocent
Kam tar. Inferior
Adna inferior
Izafa. To add. Increase
Pursish. Puchhna
Mukhatib. Saamne
Justaju. Talaash
Tafreeq. Differentiate
Shab o roz. Raat din
Intekhaab. Salaam
Nafas. Saans
Nizaam. Arrangements

No posts

Comments

No posts

No posts

No posts

No posts