Aaye jab azaab o ranj o alam to be be hisaab aaye's image
1 min read

Aaye jab azaab o ranj o alam to be be hisaab aaye

Ashok Sawhny (अशोक साहनी साहिल)Ashok Sawhny (अशोक साहनी साहिल)
0 Bookmarks 84 Reads0 Likes
Aaye jab azaab o ranj o alam to be be hisaab aaye
Insan to main wohi hun,vaaiz, bas zamaane kharab aaye

Tark kiya paak daaman hum ne be khudi saath laaye hain
Ab aaye jo tu pilaaye Saqi per be hisaab aaye

Khazaan ne kiya rukhsat chaman ko tab hi, ik roz
Jab mausam e bahaar ke, ik roz, chund ahbaab aaye

Kaho dushmani ka hoga kya gar tumhara adu kabhi
Aashiyaan pe tumhaare gar naghma o rabaab laaye

Teri saada giri ka hoga kya, ai shaair, tu hi bata
Teri peeri men jab kabhi mausam e khizaab aaye

Maana ke raahen aur bhi hain arsh e bareen tak, yaro
Ibadat khuda ki muntazir hai jab majaazi azaab sataaye

“Sahil” boond boond roya tha tu, kya ashk they naaraaz
Ai naadaan, jaanega lutf aansuon ka tu jab sailaab aaye

Dua ka kaam hai dua pahunchaana jawaab miley na miley
Nahin maanta hun main wohi pahunchi jo jawaab laaye

No posts

Comments

No posts

No posts

No posts

No posts