
Siyaasat ke iss daur me,
Koi insaaniyat ka parcham bhi to lehraaye
Kursi aur netao’n ki laaadai ke beech
Koi desh ka khyaal bhi to mann me jagaaye
Bas voto pe chalte iss desh me
kyu na prajaa ko suna jaaye
Ghulami se azaad hue iss desh ko
Koi bhrastachaar se bhi to azaadi dilaye
Gandhi- Nehru ke is desh me
Kyu bhala godse ko pujaa jaye
Devi- matao'n ke desh me,
Aaj kyu stree ka apmaan saha jaaye
Bhule bhatke logo ko
Sach hme samjhana hoga
Desh ki takleefo ka
Ehsaas unhe karaana hoga
Dangayio ke saaaye me palte
Hamare hindustaniyo ko
Sacchi deshbhakti se
Kyu na hum rubaru karaye
Aao aaj desh ke khaatir
Hindu Muslim Sikh Isaai
Hum sab ek ho jaye
Siyaasat ke pehredaaro tak
Apni buland awaaz pahunchaye
Satta ke laalach se aage badh
Kyu na deshhit ka socha jaaye
Aaj aayi hai aanch jo desh ki ekta par
To laazmi hai ki hum ek hokar dikhaye
Aaj utaarkar darr ka choga
Bahaduri ke libaas me samaaye
Jo bol sake wo bole
Jo goonge hai wo kalam uthaye
Jo aaj aayi hai aanch hmari ekta par
To laazmi hai ki hum ek hokar dikhaye!
© Sajida hussain
No posts
No posts
No posts
No posts
Comments