EK GHADI RUK JA RE BANDE's image
Share0 Bookmarks 16 Reads0 Likes

Ek ghadi ruk ja re bande,

Kab tak tu daud lagega, aur kahan tak……..

Ruk ruk ke jara saans to le le.

Ujwal he tera rasta,

Samet le apne ko aur apno ko

Kisi ka aansu chhalk rahe he,

Mithe do sabd gun guna de;

Ujwal he tera rasta re bande

Ek ghadi ruk ja re bande.


Pahad si he ye jindagi,

Pathrili he rasta.

Pathro ke niche jhankle, ek ghadi

Chhaon milega, chhalkti hui thand pani ka swad milega;

Rukja ek ghadi, saans to lele…..

Sayad tere intjar me koi

Baitha he, satabdiyon se aankhe jhulas gai he,

Tujhse do tuk bat karle,

Ji bhar ke dekhle re bande,

Ek ghadi ruk ja re bande.


Kanto bhara he ye jindagi,

Jang to ladna padega.

Teri taiyri se koi lena dena nahi,

Ye bhanwar to tujhe gher hi lenge,

Tu yodha he, ya darpok ,

Tu arjun he, ya duryodhan;

Ye jang tujhe ladna sikha dega.

Lahu to tere hi girenge,

apno ke sath tujhe jo ladna he,

ye ladai mahabharat ki he

har yug me ise pal pal

dant kar samna karna he re bande,

ek ghadi ruk ja re bande.

Hirendra K Meher

No posts

Comments

No posts

No posts

No posts

No posts