MATLAB KA FARK's image
Share1 Bookmarks 80 Reads1 Likes
Pyaar bematlab tha hame
Unhe bhi kuch fark saa tha

Shuru shuru mein beshumaar tha
Ant tak bura haal tha

Aakhir tak raha na matlab
Unke rehne tak ka saar tha

Akhir fark to padta hai 
Jatane ka haq to banta hai 

Ek tha wo jo ummeedo se Hara
Khel tha wakt dene ka sara

Rishto ke kayi prakaar the
Kuch Dosti ke sahkaar the 

Wade kiye kuch wakt tak the
Nibhai bas matlab tak the

Matlab ka fark hi akhri ummeed thi
Unhe humse kam, hame unse Puri thi

Hum ne galtiya kafi ki nibhane me
Unhe ummeed rhiste se bahut thodi thi

Fark samajne tak ki duri jaroor thi
Wajah bas majboori thi

Jese hi unka moun hona
Simat kar hamara rona

Sab naye yug ki pareshani thi
Insaan ka tutna
Rishto ka chutna
Ek aur Vifalta ki nayi kahani thi

Aaj bhi koshish bemisaal hai
Unhe bas dur rehne ki aas hai

Sawal kai hai bin ranjish ke
Jab jawab sare gardish ke hai

Me samaj nhi paya unki ummeede
Kuch badal si gayi thi matlab se

Me yaad tumhe bahut karunga
Door jane par kam khalunga

Tum bas wakt ke sath badalte rehna
Me samay badal kar rakh dunga

Aaj bhi khusi ki dua krta hu
Umeed tumse kam rakhta hu

Tum bas fark ka matlab dhundna
Me bas matlab ka arth dhundta hu

-Dishen Maisuria

No posts

Comments

No posts

No posts

No posts

No posts